About Us

Hamara Maqsad

Is website ko banane ka bunyadi maqsad Islam ki sahi taleemat (Qur'an, Hadees, aur deeni malumaat) ko un bhai-behno tak aasaan zaban me pohanchana hai jo Urdu samajhte hain, magar Urdu padhna unke liye dushwar hota hai. Aksar log English typing to aasaani se seekh jaate hain, lekin deeni ilhaamat ko pure English me samajhna unhe mushkil lagta hai. Isi aasaani ke pesh-e-nazar, "Ittiba.in" ko mukammal taur par aam-feham Roman Urdu me design kiya gaya hai.

Hamari Koshish

Hamari poori koshish hai ke darj zail (following) baatein aap tak nehayat asaan Roman Urdu me pesh ki jayein:

  • Qur'an Majeed ki ayaat, unka ba-mahavra tarjuma aur tafseer.
  • Nabi-e-Kareem (ﷺ) ki Sahih Ahadees.
  • Roz-marra zindagi ke masail (Daily life issues) aur deegar ahem Islamic malumaat.

Hamara Yaqeen

Hamara pukhta yaqeen hai ke deen ka ilm hasil karna har musalman ke liye zaroori hai aur zaban ya script is raste me rukawat nahi banni chahiye. Is Roman Urdu platform ke zariye hum chahte hain ke har shakhs aasaani se Islam ki roshni ko apne dil tak utaar sake.

Dua Ki Darkhwast

Ye choti si koshish khalis Allah subhanahu wa ta'ala ki raza ke liye shuru ki gayi hai. Aap sab se guzarish hai ke is maqsad me hamari kamyabi ke liye dua karein aur is website ko apne dosto aur rishtedaron ke sath share karke is sadqa-e-jariya ka hissa banein.